Thursday, May 14, 2009

To set the ball rolling after a really long time, I start off with some self written urdu shayiri .......



Dur kahin gili mitti me sulagti hai chingari, use mai shola bana sakun mai wo hawa to nahi ...
Yun to aasman se bhi unchi hain unchaiyan, mai unchaiyon ko neecha dikha sakun mai wo ghata to nahi ...
Aur kehte hain ki dil ka aaina hote hain chehre , mai chehre badal sakun mai wo khuda to nahi ...


I am not a great writer, but as "they" so emphatically state "listening and appreciating is an art ",
I do have an ear for poetry in hindi and urdu ..
The two languages, their nuances and "nuktas" have always titillated my ears and mind ...
I here list a few selected shayiris and couplets which have had a profound impact on me ....
The first is RamPrasad Bismil's composition which no wonder was revolutionary to say the least ...

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Aye watan, Karta nahin kyun doosra kuch baat-cheet Dekhta hun main jise who chup teri mehfil mein hai Aye shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Waqt aanay dey bata denge tujhe aye aasman Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai Khainch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed Aashiqon ka aaj jumghat koocha-e-qaatil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe kafan Jaan hatheli par liye lo barh chale hain ye qadam Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Yuun khadaa maqtal mein qaatil kah rahaa hai baar baar' Kya tamannaa-e-shahaadat bhi kisee ke dil mein hai Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inqilaab Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

Wo jism bhi kya jism hai jismein na ho khoon-e-junoon Toofaanon se kya lade jo kashti-e-saahil mein hai

Chup khade hain aaj saare bhai mere khaamosh hain Na karo to kuchh kaho mazhab mera mushkil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai. Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.

Profoundly used in Indian films , the version in Anurag Kashyap's Gulaal also deserves a mention
as though it altered the original lines, in today's context it is a better call for revolution with a heavy dosage of satire....


Another underrated urdu shayar/ poet is Dushyant Kumar. I won't wax eloquent about his genre and style but would just quote him and rest my case ...

ho gayii phir parbat-sii pighalanii chaahiye
is himaalay se koii gangaa nikalanii chaahiye

aaj ye diivaar pardon kii tarah hilane lagii
shart lekin thii ki buniyaad hilanii chaahiye

har sadak par har galii me har nagar har gaaon me
haath leharaate huye har laash chalanii chaahiye

sirf hangaamaa khadaa karanaa meraa maqsad nahiin
merii koshish ye hai ki ye suurat badalanii chaahiye

mere siine mein nahiin to tere siine mein sahii
ho kahiin bhii aag lekin aag jalanii chaahiye


Dont think I can fit all of my "selected few" in this post ....

Would continue in the next post ...
Till then , cheers....